Poems

DIRECT DIL SE - My Poems, My Feelings

DATE: 18th Feb 2011

001. AJAAB PREEM KI GAJAB KAHANI


Hum log shayad kabhi kabhi Apno ke liye kuch jayada sacrifice karne ke chakkar mein ya fir dosron ki boton ko sunne ke chakkar mein shayad ek doosre ke DIL ki yeh baat ansuni kar dete hai ki "HUM TUMHARE HAI SANAM".


Toh kabhi jinedagi ki Sarak par
"CHALTE CHALTE" hum apno ko kabhi peeche chor aate hai. Yaar Kabhi ruk ke, Kabhi peeche mur ke dekh toh lo.

Khud ko apno ke liye bechen ei peeche chupe hue beinteha aur sacche pyaar ke
"RAAZ" ko janne ki koshish toh karo.


Meri tumse se yehi
"GUZAARISH" hai ki mujhe Pathaar dil na bana do. Mai tumhara hi Sang dil tha, hoon aur rahoonga par mujhe yeh bhi pata nahi ki "JAANE TU YA JAANE NA".


From - "DIL SE"






DATE: 19thFeb 2011

002. DIL KA SAUDA


Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,

Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Milega na dil yeh aap ko wapas jo humne apna kar liya hai,
Agar fir bhi Chaein aap jo toh JAAN humaari leni paregi,
Humne aap ko ek nahi sau baar agah bhi kiya tha,
ki ek nahi aap sau sau baar sooch lijiyega.
Jindagi ki kaaton bahri raah par saath chalna ho toh dil badal lijiyega warna humko akele hi yahin par chood dijiyega.
Aap ne hi mujhme ha bol ke himmat di thi,
Jag ko jeetne ke spane diye the,
Saat fere lee saath jene marne ki kasmein khaaye the.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.


Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,
Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Aap ke hi dil mein humne apna bangala banaya,
Jiske ek koone mein ek tijoori lagaya.
Woh tijori ho gi auron ke liye,
magar mere liye kisi khazane se kaam nahi thi.
woh khazana tha un meethi yaadon se jinhe humne aap ke saath mein tha bitaaya.
Aankh jab bhi band mein karta tha khul jata woh darwaza us tizori ka,
par tabhi koi kambakhat mujh ko jaga tha deta aur pagal keh ke mujhko tha bulata.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.

Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,
Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Aap ka rooj subah behti hawa se mere kaano mein kuch keh ke jagana,
raat ko taron ki chaadar yun udhana aur apni good mein mera sir rakh ke muje sulana yeh bhi tha na wada.
Subah ki hawa ke jhookhe ab mujhe nahi jagate,
raat ko taaron ki chaadar mein bhi ab neend nahi aati kyuni who humein aap ki good ki sada yaad hai dilaati.
Train ke safar mein bukhaar mein kap kapaate hue jab mein leeta tha tab aap ka dheere se mere deh par apne pyaar ka kambal udhaana aur mere gaalon ko apne hoothon ki garmi ka ehsaas dena mujhe yaad hai,
aaj main un yadoon mein jalta hoon, tarapta hoon.
Aaj mail kambal ke saath bhi soo pata nahin hoon,
thand bhi jaati nahi hai aur tumhare dil se poochta hoon tum kaha ho? Aajao.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.

Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,
Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Apka dil jo meri hai amanat,
aap ne jisko chua tha apne pyaar se us din pehla karwachauth ka vrat rakh kar.
Hai mai itraya tha kismat par main us din,
aur meri kismat thi itrai ha mujhpar.
Samay ki nazar lag chuki thi humari khushi par.
Agle hi din ho gaya tha aap ka ha accident,
rooya tha mai usdin sab ki nazar baccha kar.
Bhagwaan se Jhooli faila kar manga tha sehath aap ki us din,
Shayad aap ki kismat ya fir pyaar tha humara humne aap ko paya tha dobaara.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.

Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,
Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Khush hue humko beete the abhi din hi 4 the,
ki hai re kismat hi shayad humari thi hi khoti.
Bairi kismat ne jo palti ab ki maari,
Jakham aise kiye jo ki nasoor ban gaye the abki.
Ab aap ne pyaar mein balidaani ka ek naya paath khola tha,
hum bhi aap se kum nahi the iis vishaye mein.
Beecha tha humne apna sab kuch,
sapne bhi jo mere the apne ab nahi the kyunki humne aap ki khushi sirf chaahi khushi thi.
Dost mere humko bewakoof aashik keh rahe the,
aur saath dene ke naam se hi bhaag rahe the.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.

Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,
Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Milega na dil yeh aap ko wapas kyun ki ab yeh humara ho gaya hai,
Agar jo fir bhi aap Chaein toh JAAN humaari leni paregi jo ki meri nahi aapki hi amanat hai.
Mera dil jo aap ke paas hai aap ko har dharkan har saans aap ko mere aap ke kaeeb hone ka ekhsaas dilate rahega,
guzarish hai ki aap ek baar uski awaas sunne ki koshish toh karein kyun ki haar darkan mein aap ko aap ka hi naam sunai dejayega.
Shayaad aap bhool gaye ki aap humari JAAN hai,
Kal ko hum rahein na rahein humara dil rahega.
Kyon ki aap se hi humara dil bhi jinda hai pas hai jo aap ke ek baar ehsaas kar ke toh dekhiye.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.


Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,
Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Humne humare beech logo ko toh kya dost tak ko aane bhi nahi diya tha,
Sirf aap aur aap ki batein hi thi.
Na Jaane aap ko kisne kya khaha tha,
aap ne bhi kab se logo ki baatein sunna suru kiya tha.
Un logo ne humko bhramit aur patthar dil kaha tha,
jisko aapne apni jaban se humko bol unki baaton par apni mohar lagaya tha.
Mar gaye the hum usi din jab aapne yeh kaha tha.
Kyunki hum jaante hai ki yeh aap ka dil hai jo pathhar nahi ho sakta,
Yeh pathar is liye nahi ho sakta kyun ki ismein meri JAAN basti hai, yani aap.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.

Humne aap se apne dil ke badle aap ka dil liya,
Shaayad yaad ho na ho aap ko tab humne kuch kaha tha.
Is ummeed par jinda hai hum ki aap samjheingi,
shayad aaj nahi toh kal hi sahi par jaaneingi.
JAAN hai aap meri,
dharakti hai is dil mein sada.
Bus ek guzaarish hai aae rab tusse,
bana de mujhe bhi hanumaan mere unke liye.
Pooja hai unko maine sada is dil ke mandir mein,
seena chher ke dikhla doon main bhi unhe jara.
Meri itni si kwaahish hai ki main band karoon aakh jab apni sada,
tab vishwaas ho unhe itna ki dil dharkta tha sada unke hi liye jo mere paas hai.
Jaan lein woh bhi itna jara ki unke paas jo dil hai woh dil hai mera,
Jinda hoon mai bhi sada unke jism mein dharakte dil mein sada.
bus kehna hai mujhko bus itna ki hum toh unke the hi aur woh bhi rahenge humare sada,
magar aap ne logo ko jagah di bus kaash aap ne humari wafa pe wafa ki hoti.
Yeh dil ke Saaude ke samay humne kuch kaha tha.


From – DIL SE





1 comment:

  1. Kagaz apni kismat se udta hai,
    lekin patang apni kabiliyat se

    islye kismat sath de ya na de
    kabiliyat sath jarur deti hai....dilse....
    surjan yadav 7879703600

    ReplyDelete

Did you like this blog?